• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

Poetry! =P

Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Bohat arsa hua ek din !

Bataya tha mujhe us ny, Banana kuch nahi ata
Agar main kuch bnati hoon,

To Bus "Chaye" bnati hoon,
Peeo gay na??

Aur main is baat par muskurata hi raha tha,
K
"banana kuch nahi ata Banati hoon to bus chaye"

Mujhe Chaye say nafrat thi,
Nahi peeta Nahi peeta,

Aur ab is baat ko guzray zamany ho gye kitne,
Nahi maloom mujh ko
K wo kesi hay?
Kahan pay hay?

Magar ab chaye peeta hoon,
"Bari kasrat say peeta hoon"
"Bari Hasrat say peeta hoon"

-rimsa
 
Messages
1,414
Reaction score
18,489
Points
523
Apne Ehsaas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kar Do
Me K Sadiyon Se Adhoora Hun Mukamal Kar Do

Na Tumhe Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe
Is Qadar Toot K Chaho K Mujhe Pagal Kar Do

Tum Hatheli Ko Mere Pyar Ki Mehndi Se Rango
Apni Aankhon Me Mere Naam Ka Kajal Kar Do

Dhoop Hi Dhoop Hun Me Toot K Barso Mujh Par
Me To Sehra Hun Mujhe Pyar Ka Badal Kar Do

Is K Saye Me Mere Khawab Mehak Uthen Ge
Mere Chehre Pe Umeedon Bhara Aanchal Kar Do

Apne Honton Se Koi Mohar Lagao Mujh Par
Ek Nazar Pyar Se Dekho Mujhe Ghayal Kar Do...

~Wasi shah
 
Messages
1,414
Reaction score
18,489
Points
523
Baat Nikle Gi To Phir Door Talak Jaegi
Log Be-Waja Udaasi Ka Sabab Puchen Ge
Ye Bhi Puchen Ge K Tum Itni Preshan Kiun Ho
Ungliyan Uthen Gi Sookhy Hue Baalon Ki Taraf
Ek Nazar Dekhen Ge Guzry Hue Saalon Ki Taraf
Chooriyon Par Bhi Kayi Tanz Kiye Jaenge
Kanpty Hathon Pe Fikry Bhi Kassy Jaenge
Log Zalim Hain Her Ek Baat Ka Tana Denge
Baaton Baaton Me Mera Zikr Bhi Le Kar Aenge
Un Ki Baaton Ka Zara Sa Bhi Asar Mat Lena
Warna Chehry K Ta'asur Se Samajh Jaenge
Chahe Kuch Bhi Ho Sawalaat Na Karna Un Se
Mere Bary Me Koi Baat Na Karna Un Se
Baat Nikle Gi To Phir Door Talak Jaegi...
 
Messages
1,001
Reaction score
17,743
Points
523
Roz-e-hashar mein baykhoof ghuss jaon ga jannat mein
Waheen se aaye thay Adam wo meray baap ka ghar hey

Jawab


In Aamaal kay sath tu jannat ka talabgar hey kiya
Wahan se nikala gaya tha Adam tou teri auqaat hey kiya
 
Last edited:
Messages
1,001
Reaction score
17,743
Points
523
Teri aankhon ki namkeen mastiyan
Teri hansi ki beparwaah gustakhiyaan
Teri zulfon ki leharaati angdaiyaan
Nahi bhoolunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Tera hath se haath chorna
Tera saayon se rukh morna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahin maaf karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Baarishon mein bedhadak tere naachne se
Baat baat pe bewajah tere rothne se
Chhoti chhoti teri bachkani badmashiyon se
Mohabbat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..

Tere jhoothe kasme vaadon se
Tere jalte sulagte khwabon se
Teri be-raham duaaon se
Nafrat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Saadagi To Hamari Zara Dekhiye
Etbaar Aapke Vaade Per Kar Liya
sadgi to hamari zara dekhiyeh

masti mein ik haseen ko khuda keh gaay hein hum
jo kuch bhi keh ga'ay hein baja keh ga'ay hein hum
sadgi to hamari zara dekhiyeh

is sadgi say tujh ko khuda keh ga'ay hein hum
sadgi to hamari zara dekhiyeh

kiss shok kiss tamanna kis darja sadgi say
hum aap ki shikayat karte hein aap he say
sadgi to hamari zara dekhiyeh

tere ata ki rodaad ho ga'ay hein hum
baray khuloos say barbaad ho ga'ay hein hum
sadgi to hamari zara dekhiyeh


sadgi to hamari zara daikh'iyeh
aitbaar aapke vaade par kar liya
baat to sirf ik raat ki thi magar
intizaar aap ka umar bhar ker lia


ishq mein uljhanein pehle he kam na thi
aur peda dard e sir ker lia
log dartay hein qatil ki parchaiyen say
hum ne qatil ke dil mein bhi ghar ker lia


zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
shikwa kia sitam ka to
tum to zara si baat per ranjida ho ga'ay
zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha

tera zulm nahi hai shamil gar meri barbadi mein
phir yeh aankhein bheeg rahi hein kiyun mere afsanay say
zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha

meri halat daikh ker tum kiyun pareshaan ho ga'ay
zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha

zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
aap ka aise baaton say kia wasta
aap to bewafa aur sitamgar nahi
aap ne kiss liyeh mu udhar ker lia

jab tulu aaftab hota hai gham ke sagir uchal deta hoon
tazkara jab wafa ka hota hai mein tumhari misaal deta hoon
aap to bewafa aur sitamgar nahi

kiyoon aankh milayi thi kiyoon aag lagai thi
ub rukh kiyoon chupa baithay ker ke mujhe deewana
aap to bewafa aur sitamgar nahi

zindagi-bhar ke shikway gilay thay bohot
waqt itna kahan tha ke dohratay hum
aik hijki mein keh dali sub dastaan
hum qissay ko yoon mukhtasar ker lia

beqarari milay gi milay ga sukoon
chain chin ja'ay ga neend urh ja'ay gi
apna anjaam sub hum ko maloom tha
aap say dil ka sauda magar ker lia


zindagi ke safar mein bohot door tak
jab koi dost aaya na hum ko nazar
hum ne ghabra ke tanhaioon say sada
aik dushman ko khud humsafar ker lia


Saadagi To Hamari Zara Dekhiye
Aitebaar Aapke Waday Per Kar Liya
Saadagi To Hamari Zara Dekhiye
Aitebar Aapke Waade Per Kar Liya
 
Last edited:
Messages
1,001
Reaction score
17,743
Points
523
Saadagi To Hamari Zara Dekhiye
Etbaar Aapke Vaade Per Kar Liya
sadgi to hamari zara dekhiyeh

masti mein ik haseen ko khuda keh gaay hein hum
jo kuch bhi keh ga'ay hein baja keh ga'ay hein hum
sadgi to hamari zara dekhiyeh

is sadgi say tujh ko khuda keh ga'ay hein hum
sadgi to hamari zara dekhiyeh

kiss shok kiss tamanna kis darja sadgi say
hum aap ki shikayat karte hein aap he say
sadgi to hamari zara dekhiyeh

tere ata ki rodaad ho ga'ay hein hum
baray khuloos say barbaad ho ga'ay hein hum
sadgi to hamari zara dekhiyeh


sadgi to hamari zara daikh'iyeh
aitbaar aapke vaade par kar liya
baat to sirf ik raat ki thi magar
intizaar aap ka umar bhar ker lia


ishq mein uljhanein pehle he kam na thi
aur peda dard e sir ker lia
log dartay hein qatil ki parchaiyen say
hum ne qatil ke dil mein bhi ghar ker lia


zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
shikwa kia sitam ka to
tum to zara si baat per ranjida ho ga'ay
zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha

tera zulm nahi hai shamil gar meri barbadi mein
phir yeh aankhein bheeg rahi hein kiyun mere afsanay say
zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha

meri halat daikh ker tum kiyun pareshaan ho ga'ay
zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha

zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
aap ka aise baaton say kia wasta
aap to bewafa aur sitamgar nahi
aap ne kiss liyeh mu udhar ker lia

jab tulu aaftab hota hai gham ke sagir uchal deta hoon
tazkara jab wafa ka hota hai mein tumhari misaal deta hoon
aap to bewafa aur sitamgar nahi

kiyoon aankh milayi thi kiyoon aag lagai thi
ub rukh kiyoon chupa baithay ker ke mujhe deewana
aap to bewafa aur sitamgar nahi

zindagi-bhar ke shikway gilay thay bohot
waqt itna kahan tha ke dohratay hum
aik hijki mein keh dali sub dastaan
hum qissay ko yoon mukhtasar ker lia

beqarari milay gi milay ga sukoon
chain chin ja'ay ga neend urh ja'ay gi
apna anjaam sub hum ko maloom tha
aap say dil ka sauda magar ker lia


zindagi ke safar mein bohot door tak
jab koi dost aaya na hum ko nazar
hum ne ghabra ke tanhaioon say sada
aik dushman ko khud humsafar ker lia


Saadagi To Hamari Zara Dekhiye
Aitebaar Aapke Waday Per Kar Liya
Saadagi To Hamari Zara Dekhiye
Aitebar Aapke Waade Per Kar Liya
Nice.
From a blog?
If yes then can you give me link please.
 
Top