• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

Poetry! =P

Messages
1,414
Reaction score
18,489
Points
523
Itny bhi naadaan nhi hum.. Hum ko parhna ata hai...
Konsa lehja dil ki duniya.. Konsa duniya dari hai...
 
Messages
1,414
Reaction score
18,489
Points
523
Jahan se tera ji chahey meri kitaab e zindagi parh le...
Safaa chahye koi bhi ho... Naam tera hi likha hoga...
 
Last edited:
Messages
1,414
Reaction score
18,489
Points
523
Maar do humey jaan se koi gham nahi.. Pr ye saza mat do...
K humarey samny beth kr tum humko ajnabi se lago...
 
Messages
3,401
Reaction score
9,793
Points
523
ok, was getting sick of Midnight dream 's and mistique_bee 's this lost-love typa poetry, so thought to repost some of my better ones.
u dont need to say, i know I love to brag about my master pieces
P.S. no offense, behno
Khyal-e-Karam-e-Khuda! Isi gharz say sar jhuka deta hoon
Maangna mujhay kuch nahi aata, bas haath utha deta hoon

Gunaahon say ghiri umar, aisi kaati hai k bas kiya kahoon
Sharm aati hai us say ham-kalam honay may, bas ik sada laga deta hoon

Haath uthtay hen meray, par bheek yun hi nahi milti
Ganday zameer ko dekh kr apnay, ashk baha deta hoon

suna tha Khuda bara Raheem, aur bara hi Ghafoor hai, bas
isi gharz say Us k aagay apni jholi phaila deta hoon

aankh nahi milti Khuda say, gunahon ka haal sunaun agar
tanhaie may bas dil hi ko dil ka haal suna deta hoon

Ashraf-ul-Makhlooqat hoon, sharf mujhay kiya haasil hai?
Bas dil ki taskeen k waastay, apni himaaqat k saboot mita deta hoon

Khuda say maafi mangoon to kis tarha, gunah-gaari yad aa jati hai
Ilfaaz halq may phas jaatay hen, so safhaat pr saja deta hoon
(Ahmed)​
gunah bohat kiye hein me nay, ab muafi maang ne aaya hoon
jin gunahon ki daldal mein umr kaati, un gunahon ki talafi maang ne aaya hoon

gunahgaar sahi syahkaar sahi, tera gwah tera banda hoon
bakhsh de mujhe me khair-o-bad ki pehchan se andha hoon

ye baazu, ye hath gwah bn gye hein meri gunahgaari k
mita de khm, jo tha dil-o-dimagh me is nafs-pujari k

tujhe mana hai, tere hi din k liye gaali bn k aaya hoon
ata kr de mujhe me, teri bandagi ka sawali bn k aaya hoon

ay Khuda! apni maghfirat ki jihad mein ghazi bna de mujh ko
aur kuchh nahi maangta hoon tujh se, numazi bna de mujh ko (Ameen)
is zamanay k tafarruqon may, in bulandion in pastion may, me kiya hun
afrad k hujoom may, kuchla hua, masla hua, bai-naam, me kiya hun

jis khaak say nikla hun, usi khaak may gharq ho jaun ga
matti ka zarra, ya zarron ka ijtema, me kiya hun

ye dolat ye paisa, faqt ik warq par likhi tafseerain
meri Auqat hai kiya yahan, me kiya hun

meray saathi ye gird-o-nawah mera rahi ye rasta
in sar-e-rah shagoofon say mujhay kiya wasta, me kiya hun.

apnay aks ki jhalak par yaqeen hai mujhay, wujood ka kiya aitabar
ashraf-ul-makhlooqat ya ashraf-ul-mujassama-e-kam-aqli. me kiya hun
(Ahmed)​
 
Last edited:
Messages
4,988
Reaction score
23,955
Points
523
Khyal-e-Karam-e-Khuda! Isi gharz say sar jhuka deta hoon
Maangna mujhay kuch nahi aata, bas haath utha deta hoon

Gunaahon say ghiri umar, aisi kaati hai k bas kiya kahoon
Sharm aati hai us say ham-kalam honay may, bas ik sada laga deta hoon

Haath uthtay hen meray, par bheek yun hi nahi milti
Ganday zameer ko dekh kr apnay, ashk baha deta hoon

suna tha Khuda bara Raheem, aur bara hi Ghafoor hai, bas
isi gharz say Us k aagay apni jholi phaila deta hoon

aankh nahi milti Khuda say, gunahon ka haal sunaun agar
tanhaie may bas dil hi ko dil ka haal suna deta hoon

Ashraf-ul-Makhlooqat hoon, sharf mujhay kiya haasil hai?
Bas dil ki taskeen k waastay, apni himaaqat k saboot mita deta hoon

Khuda say maafi mangoon to kis tarha, gunah-gaari yad aa jati hai
Ilfaaz halq may phas jaatay hen, so safhaat pr saja deta hoon
(Ahmed)​
Midnight dream
mistique_bee
see I like this kind of thing!
MashaAllag it's very good!

Sum Ameen!
 
Top