• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

Poetry! =P

Messages
1,824
Reaction score
5,326
Points
523
Our lives are one big puzzle,
We don't know how many pieces we have got,
There are people who fit in quite nicely,
And people who try but do not,
We are constantly adding more pieces,
All the memories of things we have been through,
We add laughter and tears and adventure,
And the lessons we have learnt to be true,
Everyone has their own puzzle,
There will be ones where you do not fit,
Don't you ever dare make your piece smaller,
Just so you can live there for a bit,
If you keep cutting all your edges,
One day you won't recognize what you see,
And you will forget the person you once were,
Before the world told you who you should be,
Make the most of each piece in your puzzle,
It will be a grand master piece when its done,
So you won't have to look back when its over,
And realise that you had left out the sun.
 
Messages
1,001
Reaction score
17,743
Points
523
Humare Hal Per Roya December
Woh Dekho Toot Ker Barsa December

Guzar Jata Hai Sara Saal Yun Toh
Nahi Katta Magar Tanha December

Bhala Barish Se Kya Sarab Ho Ga?
Tumhare Wasal Ka Payasa December

Woh Kab Bichra? Nahi Aab Yaad Lekin
Bas Itna Illm Hai K Tha December

Yun Palkein Bheegati Rehti Hain Aise
Meri Aankhon Main Jaise Aa Thehra December

Jama Ponjhi Yehi Hai Umer Bhar Ki
Meri Tanhai Aur Mera December

Sabab Na Pooch Mere Aanson Ka
Hai Pehle Hijr Ka Pehla December

Main Inn Yaadon Se Bach K Jaon Kaise
K Mellon Dor Hai Phela December

Meri Aankhon Se Ger Deko Toh Jano
K Hai Barsaat Main Jalta December

Abhi Tak Kohr Main Dooba Hai Aangan
Abhi Tak Yaad Hai Pechla December #Dec_16 #APS
 
Messages
4,988
Reaction score
23,955
Points
523
Humare Hal Per Roya December
Woh Dekho Toot Ker Barsa December

Guzar Jata Hai Sara Saal Yun Toh
Nahi Katta Magar Tanha December

Bhala Barish Se Kya Sarab Ho Ga?
Tumhare Wasal Ka Payasa December

Woh Kab Bichra? Nahi Aab Yaad Lekin
Bas Itna Illm Hai K Tha December

Yun Palkein Bheegati Rehti Hain Aise
Meri Aankhon Main Jaise Aa Thehra December

Jama Ponjhi Yehi Hai Umer Bhar Ki
Meri Tanhai Aur Mera December

Sabab Na Pooch Mere Aanson Ka
Hai Pehle Hijr Ka Pehla December

Main Inn Yaadon Se Bach K Jaon Kaise
K Mellon Dor Hai Phela December

Meri Aankhon Se Ger Deko Toh Jano
K Hai Barsaat Main Jalta December

Abhi Tak Kohr Main Dooba Hai Aangan
Abhi Tak Yaad Hai Pechla December #Dec_16 #APS
Wasal?
Wesaal na?
 
Messages
18
Reaction score
164
Points
28
Aurat
Poet: Abdul Ghaffar Pasta
By: Abdul Ghaffar Pasta, Karachi


Yeah Woh Hasti Hay Jou
Ek Achay Say Achay
Insaan Ko
Bana Day Haywaan.
Aurat.
Yeah Woh Hasti Hay Jou
Ek Kachray Kay Dhair Ko
Agar Woh Chahay Tou
Sona Bana Day
Aurat Haan Aurat!...
Yeah Woh Hasti Hay Jou
Jou Ek Maa Bhi Hay
Jou Ek Behan Bhi Hay
Jou Ek Biwi Bhi Hay
Aurat Haan Aurat
Ye Woh Hasti Hay Jou
Her Taraf Khooshboo Bikhair-Tee Hay
Ya
Her Taraf Fitna Phaila-Tee Hay
Aurat
Kisi Kay Lea
Jannat Ki Hawa Tou
Kisi Kay Lea
Dozakh Ki Aag
Agar Hoti Na Yeah
Aurat
Tou Rehti Na Yeah
Duniya Qaeem
Aurat
Karay Jou Sachi Mohabbat
Tou
Duniya Jaha Ko Thukera Day
Aurat
Keray Jou Nafrat
Tou
Koi Bhi Usay Na Rouk Paye
Aurat.
Yeah Woh Hasti Hay Jou
Ek Achay Say Achay
Insaan Ko
Bana Day Haywaan
Aurat
Yeah Woh Hasti Hay Jou
Ek Kachray Kay Dhair Ko
Agar Woh Chahay Tou
Sona Bana Day
 
Messages
18
Reaction score
164
Points
28
Wo Aksar Mujh Se Kehti Thi..
WAFA HAI ZAAt AURAT KI...
Mager Jo Mard Hotay Hain,
Boht Be'dard Hotay Hain,
Kisi Bhanwray Ki Surat Gul Ki Khushbu Loot
Jatay Hain..
Suno.!
Tum Ko Qasam Meri,
Rawayat Torr Dena Tum,
Na Tanha Chhorr K Jana,
Na Ye Dil Torr K Jana,
Mager Phir Youn Hua Mohsin.!
Mujhe Anjaan Rastay Per,
Akela Chhorr Ker Us Ne,
Mera Dil Torr Ker Us Ne,
Mohabat Chhorr Di Us Ne,"WAFA HAI ZAAT AURAT KI Riwayat Torr Di Us Ne..!!
 
Messages
18
Reaction score
164
Points
28
Sarapa Ishq Hun Mein Aab Bikhar Jaon To Behtar Hai
Jidhar Jatay Hain Ye Baadal Udhar Jaon To Behtar Hai
Thehar Jaon Ye Dil Kehta Hai Teray Shehar Mein Kuch Din
Magar Halaat Kehtay Hain Keh Ghar Jaon To Behtar Hai
Dilon Mein Faraq Aayn Gy Talouq Toot Jyn Gy
Jo Dekha Jo Suna Us Se Mukar Jaon To Behtar Hai
Yahan Hai Kon Mera jo Mujhay Samjhay Ga 'Faraz'
Mein Koshish Kar Ky Aab Khud Hi Sanwar Jaon To Behtar Hai
 
Messages
1,414
Reaction score
18,489
Points
523
tuu paas bhii ho to dil beqaraar apnaa hai
ke ham ko teraa nahi intazaar apnaa hai

mile koi bhii teraa zikr cheed dete hain
ke jaise saaraa jahaan raaz daar apnaa hai

vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaal
vo saamane ho to kabhi Khtiyaar apnaa hai

zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik Gam gusaar apnaa hai

'Faraz' raahat-e-jaan bhii vahii hai kyaa kiije
vo jis ke haath se siinaafi Gaar apnaa hai
 
Last edited:
Messages
1,414
Reaction score
18,489
Points
523
jis simt bhi dekhun nazar aata hai ke tum ho
ai jaan-e-jahaan ye koi tum saa hai ke tum ho

ye Khvaab hai Khushbu hai ke jhonkaa hai ke pal hai
ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho

is diid ki saaat men kai rang hain larazaan..
main huN ke koi aur hai duniyaa hai ke tum ho

dekho ye kisi aur kii aankhen hain ke merii
dekhun ye kisi aur kaa cheharaa hai ke tum ho...

ye umr-e-gurezaan kahin Thahare to ye jaanuun
har saans mein mujh ko ye lagataa hai ke tum ho

har bazm mein mauzuu-e-sukhan dil zadgaan kaa
ab kaun hai shiirin hai ke lailaa hai ke tum ho

ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke mai.n huu.N
ik mauj me.n aayaa huaa dariya hai ke tum ho

vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche
is shahar me.n tanhaa koii ham saa hai ke tum ho

aabaad ham aashuftaa saron se nahin magar
ye rasm abhii shahar mein zindaa hai ke tum ho

ai jaan-e-'Faraz' itanii bhii taufiiq kise thii
ham ko Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai ke tum ho
 
Messages
1,414
Reaction score
18,489
Points
523
phir usii raah e guzar par shaayad
ham kabhi mil saken magar shaayad

jaan pahachaan se kyaa hogaa
phir bhi ai dost Gaur kar shaayad

muntazir jin ke ham rahe tum ho
mil gaye aur hamsafar shaayad

jo bhii bichhde hain kab mile hain 'Faraz'
phir bhii tuu intazaar kar shaayad
 
Messages
1,824
Reaction score
5,326
Points
523
tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahi intazaar apanaa hai

mile koi bhii teraa zikr cheed dete hain
ke jaise saaraa jahaan raaz_daar apanaa hai

vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaal
vo saamane ho to kabhi Khtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik Gam gusaar apanaa hai

'Faraz' raahat-e-jaan bhii vahii hai kyaa kiije
vo jis ke haath se siinaafi Gaar apanaa hai
apaana?
Wats that?
 
Top